Thursday, February 11, 2010

LOVE, what is True love

"LOVE" PYAAR... sachchaa pyaar wo nahii hotaa jo bolaa yaa kahaa jaataa hai, I LOVE U.. wo bhii nahi hotaa jo jatayaa jaataa hai "MAIN TUMHARE BINA MARA JAUNGAA YAA MARA JAAUNGI" , pyaar naa to kiyaa jaata hai aur naa hi kahaa jaataa hai ...? woto hotaa hai hameshaa ... jaise hawaa jo hameshaa hotii hai magar hamara dhyaan uske taraf nahi jata .... waise hi sachchaa pyaara hotaa hai.. jo hameshaa maujood rahataa hai ... sach to ye hai ki sachchaa pyaar zindagii men itana ghul mila jata hai ki usaka hona pata hi nahi chalata, jaise saanso ki tarah andar bas jata jo chalati rahata hai to pata bhi nahi chalata sote jaagate chal rahi hai ...pata to tab chalata hai jab band ho jati hai ... waise hi sachchaa pyaara hotaa hai jisakaa rahana zindagi aur naa rahana maut hai.. sachchaa pyaara kabhi kuchh kahata nahi jaise dhuudh piita BACHCHAA apni MAA se karata hai wo kabhi nahi kahata ki MAA I LOVE U .. magar pyaar rahata hi hai .. jaba kuchh kahane, sunane, karane, jataane, ki zarurat na ho to samajhana ki SACHCHCC PYAAR MILA GAYAA.... HAPPY VALENTINE DAY

Music

Music is the best way to express your self ....

Music

Hindi Films